Thursday, June 19, 2014

Raaj Duniya Ke - A Very Dark Poetry ... (kids requested not to read)

DARK POETRY -
RAAJ    DUNIYA    KE
Jahan insaan jaltey hai ussey shamshaan kehtey hain,
Jahaan armaan jaltey hai - ussey hum makaan kehtey hain,
Badi mushkil mein duniya rasta deti hai arthi ko,
Badi hai bheed ab raston pe ! sab insaan chaltey hain.
Yeh duniya kyun kisi anjaan ko kaatil banati hai,
Kyun uskey saath rehney walon ko shamil banati hai,
Yahan har mod pe choron ke ghar aur loot ke addey,
Magar tajjub hai choro ko yeh ab - mahaan batati hai.
Jinhe kuch mil nahin pata who khud ko bhul jaatey hai,
Jinhe sab bhool jaatey hai, ko khud ko bhul nai patey,
Yahan har chaal deewaney ki duniya soongh leti hai,
Magar deewana apney samne kuch sah nahi pata.
Hazaron meel udkar dhool jab aandhi banati hai,
Kisi rangeen bageechey ko registan sajati hai,
Yeh duniya dekhti rehti hai, aisey dard ke lamhe,
Issey tareekh deke - panne yeh kagaz k bharti hai.
Hamarey haath hai, haathon mein samajikta ki beri hai,
Sahi jo raah chaltey hai, who raah khud behad terhi hai,
Jinhe hum dost ka sehra machano pe hai pehnatey,
Wo saarey dost hi ! Phir baad - mein humko fasatey hain !
Last
Mujhe jab yeh laga ki maut ab - milne ko hai ayi ,
Mai khud se - kuch sawaalon ke jawaabo ko poochney lag gaya,
Yahan ab sham ko chidiyen makamo par nahi jaati ?
unhey bhi adatein ho gayi ... hai - kya poori raat udney ki ??
------------------------------------


No comments: