Tuesday, June 17, 2014

Kahaani Dil Ki Jo Ab Jindagi Ko Dhoondta Bhi Hai - Poetic Format

HOPE YOU LIKE IT - IT HAS BEEN A CREATION

The Life of A Heart .....



Badi majboot deewaron mein chup ke dil yeh rehta hai,
Koi shaitaan kitna ho issey yeh choo nahi sakta,
Hummey jo chod ke badh gaye hawala de muhhabat ka,
Unhe koi jaa ke poochey, kya woh khud se khush bhi rehtey hai.


Jahan insaan insaano ke koi kaam aa jaye,
Wahi duniya hai ki jisme sabhi bhagwan rehtey hai,
Harek ke paas ek mandir, woh khud uska pujari hai,
Na bhakti hai, na koi geet hai .. na ab ..ibadat hai


Kisi ke pair mein kaata lage to dard hota hai
Magar duniya ko kaaton ka yeh kissa kissa khub bhata hai
Jahan par khoon behta hai, wahin par phool khiltey hai
Kyun is duniya mein khali marney ko insaan ata hai ?


Jinhe sab mil gaya, woh Ishwar ko – poojtey rehtey,
Jo lut gaye – unko – kyun ab maut ka hi khwab ata hai,
Bahut saarey khajane se, yeh dil ab khush nahi hota,
Issey us chandni ke saath ka – bairaag khata hai.


Bagichen phool se labrej, to hotey hai saawan mein,
Magar kuch ret ke tilo, ko yeh mausam nahi bhata,
Jahan par aag ke sholo si beeti karti hai duniya,
Usi duniya mein – insaano ke aksar mele lagtey hai.


Muhabbat mil nahi jaati, sirif , aloh’ ko gaane se,
Muhabat ke liye insaan ko ladna bhi padta hai,
Isi duniya mein jannat hai isi duniya mein dojhak hai,
Kissey ab kya milega, yeh to jaalim waqt – hi jaane ??


THE END


No comments: